Wednesday, August 02, 2006

This one is in Hindi...a cute poem, I should add

Khaali Waqtaun ko kuchh is tarah bar liya karo

Khaali Waqtaun ko kuchh is tarah bar liya karo
Kuchh makhmali se palon ko yaad kar liya karo

Yaad kar lo kisi hamkhayal ke saath guzaare pal
Bachpan ke kisi pyaare teacher ki dhundhali si shakal
Alhadpan ka koi pyar aur mann mein halchal
Beetay haseen lamhaun mein bi kabhie basar kar liya karo

Khaali Waqtaun ko kuchh is tarah bar liya karo
Kuchh makhmali se palon ……

Who baat karne mein kisi ajnabi se, sharmana,
Aur kisi ajnabi ko hi sab kuchh bata ana
Woh deewanepan ke nagame sunanaa,
Aur khud ko samajhna deewana
Kabie un bhoole-bisre shahraun ka safar kar liya karo

Khaali Waqtaun ko kuchh is tarah bar liya karo
Kuchh makhmali se palon........

Woh ma ke haath ka khaana, ma ke haath se khana,
Bin wajah roothna, aur yun hi maan jana,
Woh kuchh bi sehat ki chinta ke bagair khana
Un rahon mein kisi rehbar ka saath kar liya karo

Khaali Waqtaun ko kuchh is tarah bar liya karo
Kuchh makhmali se palon.....

(Rehbar = Humrahi)

2 comments:

How do we know said...

Achha hai.. kis ka hai?

Aman said...

good one yaar others are equally good but keep on translating in english