Kuchh bi to nahi raha, Kuchh bi to nahi raha
Sanson mein hava to hai ,
par ragon mein dhode jo,
aisa, kuchh bi to nahi raha,
Bhavnaun se tez badalte hain mukh ke mukhaute,
Yahan ab kisi chehre pe,
Parde sa,
Kuchh bi to nahi raha,
Kuchh bi to nahi raha, Kuchh bi to nahi raha
Uska wada tha ki laut ayega,
waqt-e-qyamat se pehle,
Ab sirf wada hi hai uska mere paas,
Us wade ke ilava, uska mere paas,
Kuchh bi to nahi raha,
Kuchh bi to nahi raha, Kuchh bi to nahi raha
Mila tha jab woh,
Karta tha fizool ki baatein,
Toota sheesha, uspe tooti yaadein,
Ab apna uske paas,
Kuchh bi to nahi raha,
Kuchh bi to nahi raha, Kuchh bi to nahi raha
Kya bataun ki kahan tha ghar mera,
Ab khahandaraun ke siva,
Is shehar mein,
Kuchh bi to nahi raha,
Kuchh bi to nahi raha, Kuchh bi to nahi raha
Yahan ke log milte the bahut garamjoshi se
Ab sard nigahaub ke siva,
yahan kuchh bi to nahi raha,
Kuchh bi to nahi raha, Kuchh bi to nahi raha
Is tarah kaise jiyenge, kab tak jiyenge,
Yahan insano mein ab insaniat sa,
Kuchh bi to nahi raha,
Kuchh bi to nahi raha, Kuchh bi to nahi raha
Tha fakar hamein aple asoolaun,
Apne adarshaun pe,
Par kya ab in adarshaun ko kgayenge,
Kya inhe bech ke kuchh paise mil jayenge?
Ab to jhompri mein bi khane ko,
Kuchh bi to nahi raha,
Kuchh bi to nahi raha, Kuchh bi to nahi raha
Behtar tha ki kutta jeet jata,
Roti ki ladayi,
Ab to kutte se bi roti chheenne mein,
Jeet ka maza,
Kuchh bi to nahi raha,
Kuchh bi to nahi raha, Kuchh bi to nahi raha
Thursday, August 24, 2006
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
2 comments:
you know.. i love the way you have woven a lot of different things together in one thread in this poem.. its a little long, but each paragraph is complete in itself!
YOu're tagged. See my blog for details.
Post a Comment