Wednesday, December 07, 2005

Dil Ka Jahan
Teeraun ke zakham sahe hain bahut,
Yeh zakhm lekin zubaan ka hai,
Ayee to sirf aandhi si hai,
Par asar isme toofan ka hai..

Kaun kehta hai ki sunke wah-2 karo,
Par sun lijiye yeh kalam,
Yeh Nagma dil ke jahan ka hai...
Yeh Nagma dil ke jahan ka hai...

Jab se chhod gaye tum,
Ayeena bi hamne tod diya,
Tumhari jagah dikhaye eh shakal meri,
Yeh haq isko kahan ka hai,
Yeh Nagma dil ke jahan ka hai...
Yeh Nagma dil ke jahan ka hai...

Har gunah ki sazah hai hamein manzoor lekin,
Gut-2 ke marein, yaan ik baar marein,
Faisla yeh teri raza ka hai..
Yeh Nagma dil ke jahan ka hai...
Yeh Nagma dil ke jahan ka hai...

Jaate huye hamara aakhri salam lete jao,
Kal hamare janaze mein hogi raunak bahut,
Yeh dava aj har fiza ka hai,
Yeh Nagma dil ke jahan ka hai...
Yeh Nagma dil ke jahan ka hai...

No comments: