Auraun se kinara karke chale,
Hamein apno ne daga de dala
Gusse se unke chale the sambalkar, lekin
Ashquon ne hamein museebat mein dala
Tha aam-o-khaas ka yahi khayal,
Ki zakhm jaldi hi bar jayenge
Tha zeher ko bi yakeen
Ki hum jald hi mar jayenge
Yaaron ki takeed thi ki pee lenge be-sawal hi hum isko
Is saaki ne hamein bacha liya de ke shab ka pyala
Is ehsaan ki keemat kya de hum
Hain apne paas sirf toote sapno ki tooti mala
Auraun se kinara karke chale,
Hamein apno ne daga de dala
Wednesday, November 16, 2005
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment