Monday, July 30, 2007

Badli Hain

This one is in hindi

Yaari aur dushmani ki lakeerien badli hain,
Chaadar pe silvatein, maathe pe lakeerien badli hain,
Sukhe patte, makdi ke jaale,
Mere aashiyane ki tasveerien badli hain

Jaate waqt de gaya tha jinko ghar ki chaabiyan,
Aj unki aukat, unki nazeerein badli hain,
Hukamrano ke bi andaz nahi badle,
Var nahi badle, shamsheerein badli hain

Pehle main muhabbat ka tha,
Ab main is saltanat ka hoon,
Ghulam bilkul nahi badla,
Zanjeerein badli hain

Monday, July 09, 2007

Tera ho jaun

Main tera nasha ho jaun
Tu gam galat kare mujhmein apne
Main tere agosh mein kho jaun

Main teri khata ho jaun
Tu mangta firey mafiyan duniya se
Main tujh pe hasun, muskuraun

Main teri adaa ho jaun
Log marte firey tujhpe
Main tujhpe vari-vari jaun

Main teri haya ho jaun
Tu chhupaye khud ko, aur sharmaye
Main khud ko tujh mein chhupaun

Main teri dua ho jaun
Tu mangta firey mujhe khuda se
Main tujhe, tere haathon mein nazar aun