Tuesday, March 14, 2006

Visaal-E-Yaar
This is by Gaalib

Yeh na thi hamari kismat, Ki visaal-e-yaar(meeting with lover) hota,
Agar aur jeete rehte to yahi intezar hota,

Tere vaade pe jiyen hum, To yeh jaan jhooth lena,
Khushi se mar na jaate agar aitebar hota

Kahun kisse, mai ke kya hai, Shab-e-gam boori bala hai,
Mujhe kya boora tha marna, agar ek baar hota

Tuesday, March 07, 2006

These are the lines which came to my mind today morning just when I got up.These lines are in hindi.

Na main aaj gaurtalab hoon
Na meri kavita kuchh kehti hai,
Parantu, Shabdon ki mere ashrudhara
Aviral behti rehti hai

Kafi baar prayatan kiya,
Akhsharash likh doon peera apni,
Parantu, samay ke nishthur chakshoon se,
Meri kalam bachti rehti hai

Sabyata ka thatakhathit path padate
Rehte hain mujhko log,
Ab roun main ke hasun inpe,
Nirantar yeh uljhan rehti hai

Shabdon ki mere ashrudhara
Aviral behti rehti hai
Shabdon ki mere ashrudhara
Aviral behti rehti hai
Alienated From Self
Saade naal sige kadi, saanu saathon door kar gaye
Jande-2 sade sahan di wanjali be-sur kar gaye

Asin tuhanu manaun waale hunde kaun haan,
Sadi gamman di raat di na aundi puniya
Ik umeed si khwaab 'ch hi mil jayega saath tuhada
Jaga ke saanu, uh khwab bi choor kar gaye
Jande-2 sade sahan di wanjali be-sur kar gaye

Saade naal sige kadi, saanu saathon door kar gaye
Jande-2 sade sahan di wanjali be-sur kar gaye...

Monday, March 06, 2006

This ghazal has been sung by Jagjeet Singh and written by a famous poet Mr. Basheer Badr Sahib. It is one best of literary pieces I have ever heard

Koi dost hai na rakeeb hai,
Tera shehar kitna ajeeb hai !

Woh jo ishq tha woh janoon tha,
Yeh jo hijr hai yeh naseeb hai !

Yahan kis ka chehra pada karoon,
Yahan kaun itna qareeb hai !

Main kisey kahoon meray saath chal,
Yahan sab kay sar pay saleeb hai !

Koi dost hai na rakeeb hai,
Tera shehar kitna ajeeb hai !